गुरुवार, 2 फ़रवरी 2012

Bewafa shayri

Aaj hum unhe bewafa bata kar aaye hain,
unke khaton ko pani mein bahakar aaye hain,
koi nikal kar pad na le unhe,
is liye pani mein bhi aag laga kar aaye hain…
kanch tute to nishan reh jaata hai,
dil tute to arman reh jaata hai,
laga deta hai waqt marham is dil par,
phir bhi umr bhar ek zakhm reh jaata hai
Dosti mein imtehan liya nahi karte,
Dost to intezzar karwaaya nahi karte,
Aisi bhi kya khata ho gayi,
ki roz yaad karne waale ek pal bhi yaad kiya nahi karte…….
Kash yah dil shisha ka bana hota chot lagti to bashak fanash hota per sunte jab wo awaz iski tutna ki tab unhe bhi apne gunnah ka ehsaas hota
Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya
Jaane kyon aaj tere naam pe rona aaya
Yun to har sham umedon mein guzar jaati hai
Aaj kuch baat hai jo sham pe rona aaya 


Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
jisse hum apna humsafar samajh beithe

Khuda ne kaash mohabbat banaayi na hoti
toh aaj iss tarah hamare pyar ki rusvaayi na hoti
kaash unke dil mein zara si wafa hoti
toh iss tarah mere saath bewafaayi na hoti



Tum bin zindagi suni si lagti hai,
Har pal adhuri si lagti hai…
Ab to in saanson ko apni saanson se jodde,
Warna zindagi kuch pal ki mehmaan lagti hai






कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें